Aab-e-Hayaat ( Umera Ahmed )


This Novel is the next in series to the Peer-e-Kamil (S.A.W.) !! Got first 3 pages from a buddy so shared it with you peoples. Bool would be out in mid of December.Till then have a glimpse of the book.

Us nay dooor say SALAR ko apni taraf aatay daikha. Us kay hath main

soft drink ka aik glass tha.
“Tum Yahan kyoun aakar baith gai”? Imama kay kareeb aatay huay us

nay door say kaha.
” Aisay hi … Shaal lainay aai thi … phir yahi baith gai .. ”

woh muskurai. Us kay kareeb baith tay huay Salar nay soft drink ka

glass apni tangoon kay dirmiyaan nichli seerhi per rakh diya. Imama

lakri kay sutoon say taik lagaiay aik ghutnay per khanay ki plate

takaiay , khatay khatay door lawn main baithay GUlokaar ko daikh

rahi thi jo nai ghazal shuroo karnay say pehlay sazandon ko hadayat

day raha tha. Sala nay uska fork utha uski plate say kabab ka aik

tukra apnay moun main dala. Woh bhi ab Gulokaar ki taraf matuwajaa

tha jo apni new ghazal shuroo kar chuka tha.
” enjoying ? ” Salay nay us say poacha.

” Haan ” usnay Muskara kar kaha. woh ghazal sun rahi thi.

Kisi ki aankh purnam hai, Muhabbat ho gai ho gi
Zaban per kissa ghum hai, Muhabbat ho gai ho gi

WOh bhi ghazal sunnay laga.

Kabhi hasna kabhi roona, kabhi hans hans kay ro daina
Ajab dil ka yay aalam hai, Muhabbat ho gai ho gi

” acha gaa raha hai ” Imama nay Sataishi andaaz main kaha. Salar

nay kuch kahnay ki bajaiay sar hila diya.

Khushi ka hadh say barh jana bhi, ab ik bay qarari hai
na gham hona bhi ik gham hai, Muhabbat ho gai ho gi

Salar soft drink peetay peetay hans para. Imama nay uska chehra

daikha. WOh jaisay kahin aur puhncha hua tha.

” Tumhain kuch daina chah raha tha main … “

woh jacket ki jaib main say kuch dhond kar nikalnay ki khoushish

kar raha tha.

” Buhat dinoon say daina chahta tha lekin … ” woh baat kartay

kartay ruk gaya. us kay hath main aik Dabya thi. Imama kay chahray

per bay ikhtiyaar muskurahat aai, tu bil aakhir usay khayal aagaya

tha …. Usnay Dabya laitay huay soacha aur usay khola. Woh Sakat

rah gai … andar Ear rings thay …. Un ear rings say taqreeban

miltay jhultay .. jo woh aksar apnay kanoon main pehnay rehti thi.

Us nay nazrain utha kar Salar ko daikha …

” Main Janta hoon yay itnay value able to nhn hain jitnay tumharay

father kay … lekin mughay acha lagay ga agar kabhi kabhar tum

unhain pehno “. In ear rings ko daikhtay huay us ki aankhon main

aansooo aagaiay.

” tum nhn bhi pehanna chahti to bhi theek hai .. Main replace

karnay kay liay nhn day raha hon ” Salar nay uski aankhon main

namudar hoti nami daikh kar bay sakhta kaha … Woh nhn janta tha

… Buhat kuch pehlay hi replace ho gaya tha .. Uski khawahish aur

iraday kay na honay kay bawajood …

kuch kahnay kay bajaiay Imama nay apnay dain kaan main latakta hua

jhumka utara.

” Main pehna sakta hoon? ” Salar nay aik ear ring nikaltay huay

poacha. Imama nay sar hila diya. Salar nay bari bari uskay donon

kaanon main woh ear rings pehna diay.

Woh nam aankhoon say muskurai. woh buhat dair tak kuch kahay bagiar

mabhoot usay daikhta raha.

” Luking LOvelier ” woh uskay kaanon main lataktay halkoray khatay

moti ko chotay huay madham awaz main bola .

” Tumhain koi mugh say ziyada muhabbat nhn kar sakta … koi mugh

say ziyada tumhari perwah nhn kar sakta … mugh say ziyada khayal

nhn rakh sakta tumhara … meray pass tumhara ilawa koi kemti cheez

nhn hai. ” uski aankhon main aankhain dalay woh us say kah raha tha

.. waada kar raha tha .. yaad dahani kara raha tha … YA kuch jata

raha tha .. woh jhuk kar ab uski gardan chom raha tha.

” I M BLESSED ” seedha hotay huay us nay imama say kaha.

” Romance ho raha hai? ” apnay aqab main aanay wali kamran ki awaz

per woh thitkay thay. woh shayad short cut ki wajah say baramday

kay is darwazay say nikla tha.

” koushish kar rahay hain ” Salar nay paltay bagair kaha.

” GuD LUCK ” woh kahta hua unkay pass say seerhiyan utarta hua

unhain daikay bagair chala gaya. Imama ki ruki hui saans bahal hui.

yay embarassing tha aur sirf isi kay liay tha … Salar aur uski

family kam say kam in maamalaat main bay had azad khayal thay.

Kisi ko saamnay paa kar, kisi kay surkh hountoon per
anokha sa tabassum hai, Muhabbat ho gai ho gi

Imama ko laga woh zair lab galukaar kay sath gunguna raha tha.

Jahan Veeran raahain thi, Jahan hairaan aankhain thi
wahan phooloun ka mousam hai, Muhabbat ho gai ho gi

Lakri ki in seerhiyoon per aik dosray kay pass baithay woh khamoshi

ko torti aas pass kay paharoon main goong ki tarah phelti galukaar

ki sureeli awaz ko sun rahay thay … Zindigi kay woh lamhay

yaadain ban rahay thay … dobara na aanay kay liay guzar rahay

thay ….

Unkay apartment ki deewar per lagnay wali un doonon ki pehli Akathi

tasweer us farm house ki seerhiyoon hi ki thi. Surkh labas main

golden karhai wali black pashmeena shawl apnay bazwaoon kay gird

aurhay khulay black baloon ko kaanon kay phechay kiay khushi uski

muskurahat aur aankhon ki chamak main nhn .. balkay us qurb main

jhalak rahi thi jo us kay aur Salar kay dirmiyaan nazar aaraha tha.

Safeed shirt aur black jacket main usay apnay sath lagaiay Salar ki

aankhon ki chamak jaisay us photograph main moujood dosri har cheez

ko maat kar rahi thi. Koi bhi camray kay liay banaiay is aik main

nazar aanay walay couple ko daikh kar chand lamhon kay liay zaroor

rukta.

Sikandar nay is photograph ko frame karwa kar unhain hi nhn bheja,

unhon nay apnay ghar ki family wall photoes main bhi is tasweer ka

izafa kiya tha ……….

122 thoughts on “Aab-e-Hayaat ( Umera Ahmed )

  1. Umera Khatoon You Rule
    By Mindful
    Written on: Jan. 25, 2012

    Everyday life scenarios,
    Everyday things happening,
    Traps for teens falling,
    Envy of relatives forming,
    Spoiled parents spoiling,
    Close siblings destroying,
    Loved ones cheating,
    Bad ones reforming,
    Innocent ones humiliated,
    Rivalries in families,
    Eating orphan’s money,
    Loving money over family,
    Coming into Shaitan’s trap,
    Kids dispersing from home,
    Trends of society,
    All are depicted stories,
    By our favorite author,
    Umera Ahmed you rule!

  2. ASLAMUALEKM..API ,H R U..?,AP BHT ACHA LIKTHY HAN ..(ma shaa ALLAK)MJHY AP SY MLNY KA BHT SHUQ HY ..ABHY SY NAE BACHPN SY …ALLAH HAFIZ..duaun my yad rkhey ga..

  3. ma’am you are the best writer in the world. i just loved all your novels, especislly PEER E KAMIL was awsome.

  4. plz plz..publish Aab-e-hayat..mri zindagi ki behtreen novlz ma se 1 PEER E KAMIL hai..ma Aab-e-hayat bhi prhna chahti..umaira g apko andaza b ni k ktni shidat se hm aab-e-hayat ka w8 kre hain..

  5. bry zalim log hain yarrr…… koi reply he ni krta posts ka….. o zalimo itna he bta do kb publish ho ga……….??

  6. waisw ap buhaT ACha likHATI HYN…No doUBT ….AN AESm writER …. WIth awsUM THoughts…
    haMESHA AP K NOvels me larkion ku aiK STrong cHARActer shOW Kia jata …or yahI SB SE ACHA LAGTA HY…. ZINDagi gulzaR HY..OR umeeD IMAN OR MOHABAT …DA BEST novelz ❤ reaiy…. an admirable…ap b or ap k novELZ B 🙂

  7. PLZ. PLZ. PLZ. PLZ. PLZ. PLZ. …………………..WHEN IS THE NOVEL GONNA COME ???????????????????? I AM WAITING EAGERLY………………..

  8. does ds novel exist ? pir e kamil was just out of ds world! agr such mn yh novl exist krta a dn whr is it? its been 2 long years people r waiting ! n if u e just joking around , shame on for having such pathetic morals !

  9. is it a novel (complete ) nad when it is going to publish any conform date from the writer

  10. God i’m dying to read it……..i’ve been waiting for this novel for over a year now!
    Sometimes i think it doesn’t exist!

  11. Mujy yaqin hey k inshaAllah me umaira ahmed sy 1din zrur milun gi q k Allah meri har khwahidh puri krta hy

  12. agr novel abi developing phase me hy to aapko ye 3 pages kahan se mily ,aapne kaha k aapke dost se mily hain,to khudara apne dost se pooch kr bata di jye unhe kahan se mle 3 pages,kya Umera g n unhe apna na mukammal novel prhne k lye dy dya tha,aesa yakeenan nahi hy,to phr bta dain k novel aaye ga kb,hy bhi ya nahi

  13. ye novel kb tk ay ga itny arsy sy kaha jaraha hai k any wala hai lakin ab tk nhi aya why?? kb ay ga kia bataya jasakta hai k nhiiiii… ???

  14. Anyone tell plxx ye novel khan se mily ga r publish b hua hy ya ni, cz google pr khin b ye novel exist ni kra …plxx ans me… i m wa8ng

  15. anxiously waiting for full novel… above lines has been increased my xcietment. 🙂 i’m hoping that it is also like peer e kamil … which is my most fvt novel ….

  16. peer-e-kamil mera favirout novel h… mjhy ni yad k ma ny us ko ktni bar prha ,,mgr hr bar mjhy ek new adventure mila..ma ny socha ni tha k is ka nxt sequence khbi a skta h…mgr ab a chuka h…Aab-e-Hayaat ki shakal ..ma us ko parhna chahti mgr abhi tk parh ni paye… kua is ka novel a chuka h..??..plx koi btao…ma w8 ni kr skti..

Leave a reply to sidra Cancel reply