Ab mere dosray bazu pe wo shamsheer hai jo

Is se pehle bhi mera nisf badan kaat chuki

Usi bandooq ki goli hai meri simt ke jo

Is se pehle bhi meri sheh-rag ka lahu chaat chuki

Phir wohi aag dhar aye hai meri galyoon mein

Phir mere sehen mein barood ki boo pheli hai

Phir se, tu kaun hai mein kaun hoon, aapas mein sawal

Phir wohi soch, mayan man-o-tu pheli hai

Meri Basti se parey bhi mere dushman hongey

Per yahan kab koi aghyaar ka lashker utra

Ashnaa haath hi aksar mari jaanib lapkey

Mere seeney mein mera apna hi khanjar utra

Phir wohi khauf ki deewar, tazabzub ki fiza

Phir hui aam wohi ahl-e-riya ki baatein

Nara-e-hubb-e-watan, maal-e-tajarat ki tarah

Jins-e-Ajzaan ki tarah, deen-e-Khuda ki baatein

Is se pehle bhi to aisi hi ghari aye thi

Subh-e-wehshat ki tarah sham-e-gharibaan ki tarah

Is se pehle bhi to paimaan-e-wafa tootay thay

Sheesha-e-dil ki tarah, aina-e-jaan ki tarah

Phir kahan ahmeri hoton pe duaon ke diye

Phir kahan shabnami chehron pe rafaqat ki rida

Sandali paon se mastana ravi rooth gai

Marmari haathon pe jal-bujh gaya angaar-e-hina

Dil nashin aankhon mein furqat zada kaajal roya

Shaakh-e-bazoo ke liye zulf ka baadal roya

 

Misl-e-pairahan-e-gul phir se badan chaak huwe

Jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke teer

Is se pehle bhi hua chand muhabbat ka du-neem

Nok-e-dashna sey khinchi thi meri matti pe lakeer

Ab magar aisa nahee, aisa nahee honay dena !!

Aye mere sokhta jaano, mere pyaare logo !!

Ab ke ger zalzaley aaye to qayamat hogi !!

Mere dil geer mere dard ke maare logo !!

Kisi ghasib, kisi zaalim, kisi hakim ke liye !!

Khud ko taqseem na kara mere saray logo !!

Have your say ...