Mohasra by Ahmed Faraaz


Image

mere Ghaneem nay mujhko payaam bhaija hai
ke hulqa_zun haiN mere gird lashkaree oske
faseel-e-shehar ke her burj, her minarey pay
kamaaN_badast estaada hain lashkaree oske

voh barq-e-lehar bujha di gai hai jis ki tapish
wajood-e-Khak maiN aatiish fashaaN jagatee thee
bicha diye gaey barood oske pani maiN
voh jo aab-e-joo meri galee ko atee thee
sabhi dareedah_dahan abb, badan dareedah hoey
supard-e-daar-o-rasan saarey sir kasheeda hoey

tamam soofi-o-saalik, sabhi shayuKh-o-imam
umeed-e-lutf pay aivaan-e-kaj_kulah maiN haiN
mauzzezin-e-adaalat half uThaney ko
misaal-e-saa’il-e-mubaram nashista raah maiN haiN

tum ahl-e-haraf ke pindaar ke sana_gur thai
voh aasmaan-e-hunr ke nujoom samney haiN
bus isqadar tha ke darbaar se bulawa tha
gaadagiraan-e-suKhan ke hujoom samney haiN
qalandar-e-vafa ki aasaas to dekhoo
tumharey saath hai kaun, aas paas to dekho

so shart yeh hai jo jaaN ki amaaN chahtey ho
to apney looh-o-qalam qatal_gaah maiN rakh do
wagarna abb ke nishaana kaamaaN_darooN ka
bus ik tum ho, so ghairaat ko raah maiN rakh do

yeh shart_nama jo dekha to ailchee se kaha
osey Khabar nahi tareeKh kia sikhatee hai
ke raat jab kisi Khursheed ko qatal karey
tu subha ik naya suraj tarash latee hai

so yeh javab hai mera, mere udoo ke liye
ke mujhko hirs-e-karam hai, na Khauf-e-Khamyaazaa
osey hai sitvat-e-shamsheer par ghumanD buhat
osey shikooh-e-qalam ka nahi hai andaza

mera qalam nahi kirdaar os muhaafiz ka
jo apney shehar ko mehsoor kar ke naaz karey

mera qalam nahi kaasaa kisi gada_gur ka
jo GhazeebooN ko qaseedooN se sarfaraz karey

mera qalam nahi auzaar os naqub_zun ka
jo apney ghar ki he chaht maiN shigaaf karey
mera qalam nahi os duzd-e-neem shab ka rafeeq
jo bai_chiraGh gharooN par kamand uchalta hai

mera qalam nahi tasbeeh os mubbaliGh ki
jo bandagee ke bhi her_jaa hisaab rakhtey haiN
mera qalam nahi maizaan aisey aadil ki
jo apney chehrey par doohra niqaab rakhtey haiN

mera qalam to amanaat hai mere logooN ki
mera qalam to adaalat mere zameer ki hai
isliye jo likha tapaak-e-jaaN se likha
jabhi to looch kaamaaN ka, zabaan teer ki hai

maiN kuT girooN ke salmaat rahooN yaqeeN hai mujhey
ke yeh hisaar-e-sitam koi to giraey ga
tamam umar ki eeiza_naseebiyooN ki qasam
mere qalam ka safar rae’gaaN na jaey ga

Nisar mein teri galyion ke aye watan ke jahan — Fiaz Ahmed Faiz


Faiz Ahmed Faiz

Faiz Ahmed Faiz

nisaar main tere galiyon ke ae watan, ki jahaaN
chale hai rasm ki koe na sar uThaa ke chale
jo koe chaahanewaalaa tawaaf ko nikale
nazar churaa ke chale, jism-o-jaaN bachaa ke chale

hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad
ki sang-o-Khisht muqayyad hain aur sag aazaad

bahot hain zulm ke dast-e-bahaanaa-juu ke liye
jo chand ahl-e-junuuN tere naam levaa hain
bane hain ahl-e-hawas muddae bhe, munsif bhe
kise wakel karen, kis se munsife chaahen

magar guzarane waalon ke din guzarate hain
tere firaaq men yuuN subh-o-shaam karte hain

bujhaa jo rauzan-e-zindaaN to dil ye samajhaa hai
ki tere maang sitaaron se bhar gae hoge
chamak uThe hain salaasil to ham ne jaanaa hai
ki ab sahar tere ruKh par bikhar gae hoge

Gharaz tasavvur-e-shaam-o-sahar men jete hain
giraft-e-saayaa-e-diwaar-o-dar men jete hain

yuuN he hameshaa ulajhate rahe hai zulm se Khalq
na un ke rasm nae hai, na apane reet nae
yuuN he hameshaa khilaaye hain ham ne aag men phuul
na un ke haar nae hai na apni jeet nae

ise sabab se falak kaa gilaa nahen karate
tere firaaq men ham dil buraa nahen karate

Gar aaj tujhase judaa hain to kal baham honge
ye raat bhar ke judaey to koey baat nahen
Gar aaj auj pe hai taala-e-raqeeb to kyaa
ye chaar din ke Khudaey to koe baat nahen

jo tujhse ahd-e-wafaa ustavaar rakhte hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhate hai