Mohasra by Ahmed Faraaz


Image

mere Ghaneem nay mujhko payaam bhaija hai
ke hulqa_zun haiN mere gird lashkaree oske
faseel-e-shehar ke her burj, her minarey pay
kamaaN_badast estaada hain lashkaree oske

voh barq-e-lehar bujha di gai hai jis ki tapish
wajood-e-Khak maiN aatiish fashaaN jagatee thee
bicha diye gaey barood oske pani maiN
voh jo aab-e-joo meri galee ko atee thee
sabhi dareedah_dahan abb, badan dareedah hoey
supard-e-daar-o-rasan saarey sir kasheeda hoey

tamam soofi-o-saalik, sabhi shayuKh-o-imam
umeed-e-lutf pay aivaan-e-kaj_kulah maiN haiN
mauzzezin-e-adaalat half uThaney ko
misaal-e-saa’il-e-mubaram nashista raah maiN haiN

tum ahl-e-haraf ke pindaar ke sana_gur thai
voh aasmaan-e-hunr ke nujoom samney haiN
bus isqadar tha ke darbaar se bulawa tha
gaadagiraan-e-suKhan ke hujoom samney haiN
qalandar-e-vafa ki aasaas to dekhoo
tumharey saath hai kaun, aas paas to dekho

so shart yeh hai jo jaaN ki amaaN chahtey ho
to apney looh-o-qalam qatal_gaah maiN rakh do
wagarna abb ke nishaana kaamaaN_darooN ka
bus ik tum ho, so ghairaat ko raah maiN rakh do

yeh shart_nama jo dekha to ailchee se kaha
osey Khabar nahi tareeKh kia sikhatee hai
ke raat jab kisi Khursheed ko qatal karey
tu subha ik naya suraj tarash latee hai

so yeh javab hai mera, mere udoo ke liye
ke mujhko hirs-e-karam hai, na Khauf-e-Khamyaazaa
osey hai sitvat-e-shamsheer par ghumanD buhat
osey shikooh-e-qalam ka nahi hai andaza

mera qalam nahi kirdaar os muhaafiz ka
jo apney shehar ko mehsoor kar ke naaz karey

mera qalam nahi kaasaa kisi gada_gur ka
jo GhazeebooN ko qaseedooN se sarfaraz karey

mera qalam nahi auzaar os naqub_zun ka
jo apney ghar ki he chaht maiN shigaaf karey
mera qalam nahi os duzd-e-neem shab ka rafeeq
jo bai_chiraGh gharooN par kamand uchalta hai

mera qalam nahi tasbeeh os mubbaliGh ki
jo bandagee ke bhi her_jaa hisaab rakhtey haiN
mera qalam nahi maizaan aisey aadil ki
jo apney chehrey par doohra niqaab rakhtey haiN

mera qalam to amanaat hai mere logooN ki
mera qalam to adaalat mere zameer ki hai
isliye jo likha tapaak-e-jaaN se likha
jabhi to looch kaamaaN ka, zabaan teer ki hai

maiN kuT girooN ke salmaat rahooN yaqeeN hai mujhey
ke yeh hisaar-e-sitam koi to giraey ga
tamam umar ki eeiza_naseebiyooN ki qasam
mere qalam ka safar rae’gaaN na jaey ga

Have your say ...